Friday, 1 July 2016

Android Phone Me Ek Sath 2-2 Whatsapp, Instagaram , Facebook Kaise Chalaye [Hindi]

Hi Friends !! आज मैं इस पोस्ट में आपको बताऊंगा की आप कैसे अपने एंड्राइड फ़ोन में 2-2Whatsapp Account , Instagram , फेसबुक के साथ साथ आपके फ़ोन में जितने भी apps हैं उन सभी के आप २-२ एकाउंट्स बना सकते हैं . और आप एक साथ दोनों अकाउंट को चला सकते हैं .

Iske liye aapko iss post ko pura padhna padega. Aur jo bhi steps mai bataunga aapko follow karna hai . Aur iske liye aapko phone ko root karne ki bhi jarurat nahi hai .  Yah Bilkul hi legal Aur  bilkul hi aasan tarika hai . Mai aapko ye bhi bataunga ki yah kaise kaam karta hai . Basically , Yah ek app hai jo har ek app ki copy bana deta hai jisse hum 2-2 account use kar sakte hain.

Apne Android Phone Me 2-2 ( Multiple ) Whatsapp, Instagram , Facebook accounts kaise chalaye :-

Dosto aap niche bataye gaye steps ko follow kijiye ( Phle iss post ko pura padhe ):-

Step#1:-Sbse Phle Aap Play Store se “ Parallel Space Multiple Accounts “ App ko Download Karke install kare.

Step#2:-Ab iss parallel Space app ko open kare .

Step#3:-Ab aapko iss app me ek “+” ka button milega . Ab aap uspar click kar de.

step#4:-Ab aapko jis bhi Appka multiple account yani 2-2 account chalana hai uss App ko add kar lijiye.

step#5:-Example ke liye mai Instagram App ko select karta hun .

Step#6:-Ab instagram ki ek copy ban jati hai aur uspe click karne ke baad aapko login karne ke liye bola jayega . Agar aapke pass instagram ke 2 login hai toh aap dusre wale login detail ko daal skte hain .

Home Screen par Shortcut Kaise Banaye :-

Dosto ye toh process tha ki 2-2 id ek sath kaise chalaye . Lekin baar baar iss Parallel Space app ko open karke dusre account ko access karna thoda boring ho skta hai . Isliye jis bhi account ko aapne multiple kiya hai uska shortcut Home par lane ke liye aapko uss app ko drag ( Khich ) karke niche “ Create Shortcut “ par chhod dena hai . Ab aap isko direct home screen se bhi access kar sakte hai jaise phle wale account ko karte hain .

ab aap dekh skte hain ki jo naya wala account hai wo “Instagram + “ ke naam se show kar raha  hai . isse aap badi aasani se pehchan skte hain ki kon sa naya wala hai .

Aap issi tarah se whatsapp  , Facebook , gmail etc  jitney bhi Apps aapke phone me pade huye , sabhi ke aap multiple accounts chala skte hai . Iske liye aapko kisi aur app ki jarurat nahi pdegi .

» Kaise kaam Karta hai Yah “ Parallel Space “ app:-

Dosto mai aapko bata du ki yah app bilkul hi legal hai . Isme aapke account block hone ka koi chance nahi hai . Kyuki yah app ek alag folder bana leta hai . Aur sabhi accounts ke detail uss alag folder me collect hota hai . Jisse jo hmara phle ka information jo root folder me rhta hai usse clash nahi karta hai . Aur iss tarah se hmara dono account safe rhta hai .

दोस्तों , अगर इस app को use करने में कोई भी दिक्कत आ रही तो आप बेहिचक कमेंट करके बता सकते हैं . और अगर आप कोई सुझाव देना चाहते है तो भी आप मुझे संपर्क कर सकते हैं .

और अगर यह पोस्ट आपको अच्छा लगा तो इस पोस्ट को जरुर शेयर करे . और बने रहिये populer tricks  के साथ , क्योकिं इस ब्लॉग पर आपको रोजाना टेक पोस्ट मिलेगा . वो भी बिलकुल फ्रेश और नया .!!

No comments:

Post a Comment

RECENT COMMENTS

Pages

Popular Posts

Blog Archive